Thursday, September 9, 2010

Jaanam?

Jaanam, janam daav pe laga tou koi baat bane

Tu ujaalon ki duhayi kab tak deta rahega

Andhere se bahar nikal tou koi baat bane

Deen-o-duniya ka waasta detaa raha hai

Chand lamhey khul ke jee tou koi baat bane

Ishq ki zikar na kar, dil ki baat aab na sunaa

Shaadaab zindagi par hijr ke pehrey na lagaa

Sawdaaee ka sawdaa bhi koi sauda hai bhala

Hosh mein aa phir izhaar kar tou koi baat bane

Ankhen chura ke kehta hai ki koi aur baat hai

Ankh mila ke tu inkaar kar tou koi baat bane

Jaanam, janam daav pe laga tou baat bane



Deen-o-Duniya - Religion & World (spiritual call and worldly act)

Shandaab - Green, lush and flowering

Hijr - Separation

Swadaaee - insane, lover

Sawdaa - Love, madness

Sauda - trade

No comments:

Post a Comment