Har zarrey ki dastaan ka rakhwala tha
Samander ki gehrayee ka razdaar tha woh
Kya chupata tha har waqt kush rehta tha
Ankhon ke pichey se dastaan churata tha woh
Uski saanson ki rawaani ke falsafey sune thay
Ussi mei mujhey bahaa ke lay jata tha woh
Uska sitam rehem sa lagta hai ab tou mujhey
Janey mere saath kya kya kar jataa tha woh
No comments:
Post a Comment