Kal hi ki baat ho jaise
Kisi aur ke falsafe mein jeete thay
Kisi ke haadse sey guzarte
Kisi aur ke khwaab mein atakte
Aur subah tak tapak jaate thay
Kal hi ki baat hai jaise
Ek doosrey ki baaton mein ulajhtey
Dusrron ki gaanth suljhatey thay
Fakat ek jhoote rishtey ke pichey
Jaane kitni raaten guzaarte thay
Kuch khamosh lamhon pay girey
Kuch buney baaton ka tana bana
Ek doosrey ka haath thaamey
Girey hum ek hi tukdey pay
Kal hi ki baat hai jaise
Ab kashti ki kuch baat kaaren
Chal ab apni apni raat chuney
Shuru kaaren phir naye sirey se
Khud apni apni chadder buney
Bas aab aaj hi ki baat karen
No comments:
Post a Comment