sawan ne kadam na rakha
dehleej par
na hi boondon ne khatkhataye
khidkiyon ke sheeshe
na pyaas bujhi
sukhe dharti ki
na hi bheegi bheegi maati ki
sondhi khushboo bhikri
hawaoon mein
Subz pattiyon ke murjhaye chehre
talabon ke khush aankhen
nadiyon ki pyaasi baahen...
Mausam ka sukha aanchal
lehrata raha dur dur tak
ek baasti ek zameen
dhool ke gubaar mein dafn
gaal haath par dharey
dhoondhti rahi
kahin aasmaan mein dur
badal ke ek tukdey ka nishaan.
No comments:
Post a Comment